New Tech Advice - Technology ki Pury Jankary Hindi me

Technology ki Pury Jankary Hindi me

What Is The Internet ? How Does the Internet work ? इंटरनेट कैसे काम करता है

Dosto, aaj ke time me bina internet ke rahna bahut muskil hai. Internet hamare daily rutin ka ek hissa ban chuka hai. Bina internet ke hum sab ek din bhi nahi rah sakte hai. Lekin Dosto kiya aap ne kabhi socha hai ki Internet hai kiya, ye kaise kaam karta hai ,ye hum tak kaise pahuchta hai, is ka malik kaun hai ?Dosto aap ko in sabhi sawalo ke jawab is post me milne wale hai.  

What Is The Internet ? इंटरनेट किया  है?

Internet (Interconnected network of computer ) matlab do ya do se adhik computer ke apas me connection ko internet kahte hai. Internet ki history 1950 ke dashak me electronic computer ke vikash ke sath shuru hoti hai. 1960 me US ke Defense office ne Defense Advanced Research Projects agancy yani ki DARPA ko niyukt kiya tha. us time unhone 4 computer ka network banaya tha jisme unho ne apas me data exchange aur share kiya tha. baad me isse kai aur agenciyon ko jodha gya. dhire dhire network badhta gya aor baad me yah sabhi logo ke liye open hogya. Internet ki sabse achi baat yah hai ki ispar kisi bhi agency ka control nahi hai.

India me sabse pahle 15 agust 1995 ko sarkary company BSNL ne Internet ki suruat ki thi. baad me dhire-dhire private service providers jaise airtel, Idea, Jio ne internet ki service start ki.

Internet par pahla massege computer science ke professor Leonard
Kleinrock's ne University of California se Stanford Research Institute (SRI) par bheja tha 

How Does the Internet work इंटरनेट कैसे काम करता है

Dosto hum sab deaily google, Facebook, Whatsapp, Twitter, Wikipedia, etc.... use karte hai. hum sab kisi na kisi madhyam se Internet se judhe huye hai. Internet par har ghante lakho GB ka Data Upload horaha hai, Download Ho raha hai, share horaha hai. Dosto ye sab kaise ho raha hai? kiya aap ko pata hai akele Youtube par har minute 400 ghanto  ki videos upload ki jati hai. Internet kitna badha hai? aor ye hamare life me itna important ban chuka hai, ise simple language me kaha jaye to aaj kal internet hamary jarurat aur aadat dono ban chuka hai. Lekin sawal ab yah udhta hai ki Internet Chalta kaise? Koi User India me koi Data Upload kar raha hai, aor vah Download amerika me horaha hai? to India aur Amerika ke beech akhir hai kiya ? Hum sabhi sayed yah sochte hai ki internet setelite's se chalta hoga. badlo se chalta hoga. Lekin Dosto kiya aap jante hai ki pure World ka 99% Internet Cables ke jariye chalta hai. Aur baki 1% Internet ka minar traffic setelite ke jariye hum sab tak pahuchta hai.



Ye cables pure world me faily hui hai. In cables ko optic fiber cables kahte hai. Aur kuch log inhe Submarine Cables bhi kahte hai. Dosto yeh cables sirf kach ki bani hoti hai, jinke uper plastic ka caver hota hai. aur ye baal jitni patli hoti hai, dosto aap ka sara data, sari information inhi cables ke jariye ja raha hai. matlab ki yah jo abhi aap meri website par post padh rahe hai ye bhi inhi kisi cables ke throw aap tak pahuch rahi hai. 

Internet ka malik kaon hai :-
Dosto jaisa ki humne upar padha ki internet optic fiber cables se chalta hai jo ki pure world me bichi hui hai. to ab aapke mind me yah sawal araha hoga ki ye cables bichaya kisne hai ?ya phir ise bichata kaun hai, q ki jinhone  bhi ye cables bichai hogi, wahi internet ka malik hoga, lekin dosto aisa nahi hai internet ka koi ek malik nahi hai.

Internet hum tak pahuchta kaise hai, aur iske kitne paise lagte hai


Dosto aapke Mobile tak internet aate aate 3 alag alag companiyon  se hokar gujarta hai. 1st TR-1 Company, 2nd TR-2 Company, 3rd TR-3 Company. TR-2 aur TR-3 company state aur chote-chote cities me apni optik fiber cables bicha ke rakhi hai. aur TR-1 company yah wo company hai jsne pure world me  samundar (seo) ke andar cables bicha ke rakhi hai. Internet ek trah se pura free hota hai, free kaise hota hai agar aap apne ghar se 50 km door internet ka use karna chahte hai, to aap apne ghar se 50 km door tak ek cable bicha ke do computer ko connect kar do aur bol do ki ye internet hai. aap ko sirf ek baar us cable me invest karna padhega.

Isi tarah TR-1 Company ne pure world me sabhi countries ke bech me samundar ke undar 
optic fibre cables (submarine cables) bicha di, ab sare cables county to country connect hogaye, ab aap ko country se state me divide karna hota hai aur state se aapke city me divide karna padhta hai, aur city se aapke local area tak pahuchaya jata hai. jisse aap apne mobile par internet use karpate hai. TR-1 companiya  jo optic fibre cables samundra me bichati hai o kuch is traha se hoti hai, is me ek-ek cable apne baal ke size itni patli hoti hai, aur ek optic fibre cable ke ander 100 Gbps ki speed hoti hai.
                 

India ki baat karte hai 

Agar hum India ki baat kare to india ke 3 cities mumbai, chennai, kochin, me optical fibre cables ke landing point hai. pure india me TR-2, TR-3 companiya (reliaenc-jio, Idea, airtel, vodafon) ne apna -apna network faila ke rakha hai, agar aap india me kahi se bhi koi bhi website visit karte hai jinaka server india ke bahar hai to aap ka trafic inhi landing points se hokar jata hai aur optical fiber ki help se aap ke distination server tak jata hai aur phir o website aap apne mobile par dekh pate hai, ye pury process 1 secund se bhi kam time me hoti hai. 

Reliance -jio ne apni khud ki optical fiber cables bicha ke rakhi hai, asia africa aur europe ke bich me is liye reliance-jio aap ko kum paise me internet de deta hai. kiyon ki Reliance ne ek baar invesment kardiya hai ab akar aap ashiye, africa aur europe ki country ki koi website visite karte hai to automaticaly in ki optical fiber cables ke throw aap ka traffic chala jata hai aur is trah inka koi bhi paisa nahi lagta hai. Reliance-jio india ke andar 4g lane ke liye last 5 year se ispar kaam karraha tha india ke andar optic fiber bicha raha tha. india ke andar optic fiber bichne ki vajah se aap ko 4g ki speed milti hai. Optic fiber ka map dekhne ke liye aap www.submarinecalemap.com par visit kar sakte hai. 


Dosto, ab aap ko pata chalgya hoga ki Internet kaise kaam karta hai, internet ka malik kaun hai? sabse upar o comany jisne optice fibre cable ko samundra me bichaya, dusry wah company jiska state lavel par network hai aur teesry wah company jo small small cities me network provide karti hai. aise deta ka transfar hota rahta hai aur aap ko aaapke plan ke hisab se 3g, 4g ki speed milti rahti hai.

ye bhi padhe :-  


ऐसा रेलवे ट्रैक आपने कभी नहीं देखा होगा 




No comments:

Post a Comment