Train ka Confirm Ticket Kaise Book kare
Agar Apko Reservation Train Ticket Book karne me koi problem aa rahi hai. ya fir aap detail me har ak step ko dekhna chahte ho ki kaise train ticket book kiya jata hai to aap niche diya gaya video dekh sakte ho. is video me apko Reservation train ticket book karke dikhaya gaya hai.
Hello Friends Aaj ki is post me mai aap logo ko bataunga ki
aap kaise train ka confirm ticket online book karsakte hai.
aor mai ye bhi bataunga ki aap ko reservation train ticket book karte time kin-kin baton ka dhiyan rakhna chahiye. is post in sabhi chijo ke bare me mai aap ko bataunga. dosto sabse pahle mai aap logo batadeta hu ki reservation train ticket kiya hota hai.
Reservation Train Ticket Kya Hota hai ?
Friends Indian Railway ki Train me Travel karne ke liye
apko Ticket ki jarurat hoti hai. Ticket 2 type ki hoti hai Reserve Ticket aur General Ticket , Generak Ticket me apki Seat Confirm nahi hoti hai. agar Train me Bheed kam hai to apko Seat milegi aur agar bheed jyada hai to apko kafi muskil hogi. wahi Reserve Ticket me apki Seat fix hoti hai Bheed chahe jitani ho apko apki seat khali milegi. Reserve Ticket Normal Ticket se Kafi Mahangi hoti hai.dosto aap do tariko se reservation train ticket book karsakte hai ek normal tarike se dusra tatkal. to friend ye to tha ki Reservation Train Ticket kya hota hai ? ab ham bat karte hai ki Reservation Train Ticket Book kaise kare ?
Reservation Train Ticket Kaise Book Kare -
Friends Reservation Train Ticket Book karne ke liye apke pass 2 option hai-
2- Train Station par jakar Reservation Counter se (i-Ticket) .
To friends mere hisab se Ghar baithe online ticket book karna ak accha option hai. to chaliye aaj mai aap logo ko isi ke bare me batata hu. Ghar baithe online train ticket book karne ke liye apko niche diye gaye steps ko follow karna hoga.
Step -1 :- Login
dosto aap ko sabse pahle Indian railway ki official website www.irctc.co.in open karna hai aor sign up par click karke apna user-id password create karlena hai.agar aap ke pass pahle se user-id password hai to aap ko user-id, password fill karna hai uske baad capcha fill karke login button par click karna hai
Step - 2 :- Plan My journey
Uske baad aapko aapke journey ki Details Bharna hai jaise Aapko kaha se journy start karni hai o aap from station me likhiye aor aap ko jaha tak journey karni hai o aap to station me likhiye aap lo jis date ka ticket chahiye o date select karlijiye. Uske baad aap ko Submit par click karna hai.
Step 3 :- Train Selection
Uske Baad aapke samne traino ki list ajayegi aap jis train
ka ticket book karna chahte hai o train select kare uske
baad aap jis class me yatra karna chahte hai us class ke
uper click kare.
Step - 4 :- Check Availablity
Uske ke baad aapko 4 date ki availablety dikhayega aap
ko jis date ka ticket chahiye uske niche book now par
click karde
Step 5- :- Passenger Details
Uske Baad aap ke samne ek form open hojayega isme aap ko passenger ki deteils fill karni hai uske baad aapko capcha fill karke login par click karna hai.
Step 6 :- payment
Uske baad aap ke samne payment ka page open hojayega isme aap ko aapke payment ki method select karke
onlin payment kardena hai iske baad aap ka reservetion train ticket book hojayga.
Agar Apko Reservation Train Ticket Book karne me koi problem aa rahi hai. ya fir aap detail me har ak step ko dekhna chahte ho ki kaise train ticket book kiya jata hai to aap niche diya gaya video dekh sakte ho. is video me apko Reservation train ticket book karke dikhaya gaya hai.
Dosto ummed karta hu aapko ye post pasand ayi hogi ,agar aap ki is post se thodhi bhi help hui hai to ise apne
dosto ke sath bhi share kare .agar aap kuch puchna chahte hai ya aap ke pass koi suchao hai to aap niche comment box me likh sakte hai.
No comments:
Post a Comment