New Tech Advice - Technology ki Pury Jankary Hindi me

Technology ki Pury Jankary Hindi me

Is tarah Android Mobile ko Mause and Keyboard ki tarah use kar sakte hai

Dosto hum sabhi log Android Mobile ka use karte hai, lekin kiya aap jante hai ki aap apne mobile ko apne laptop aor computer se connect karke as a maus as a keyboard bhi use kar sakte hai. Ab aap soch rahe honge ki hum apne mobile phone ko mause ya keyboard ki tarah q use karege.
To Dosto kabhi kabhi kiya hota hai ki hum laptop/computer par kuch kaam karrahe hote hai jaise hum apne School, Collage ya bhi apne company ka koi project karrahe hote hai aor achanak hamara keyboard ya mause kharab hojata hai, aor aapka kaam band hojata hai,to us time aap apne mobile ko apne computer se connect karke mouse aor keyboard ki tarah use kar sakte hai, Dosto ab aap soch rahe honge ki mobile ko mause ki tarah kaise use karege, Jitna ki yah sochna aasan hai, usse bhi aasan mobile ko laptop se connect karke mause ki tarah use karna hai, bas aap ko iski jankary honi chahiye, To aaj hum aap logo ko yaha is post me batane ja rahe hai ki kaise aap apne android mobile ko apne laptop ya computer se connect karke Mobile ko mause ya keyboard ki tarah use kar sakte hai.

Android Mobile ko Laptop ya Computer se Connect karke Mause/Keyboard ki tarah kaise use kare.

1. Android Mobile ko Laptop ya computer se connect karne ke liye sabse pahle aap ko is link par click karke apne Mobile Phone me ek application download karke use apne mobile me install karna hoga.    

2. uske baad aap apne Laptop me www.remotemouse.net website open karke remote mause ka server download karna hoga .

3-  ab aap ko apne Laptop/computer me remote mause server jo aapne download kiya tha use install karna hoga.
4- ab aapke computer ke Taskbar me ek remote maose server ka icon agya hoga ab us par click karke use open karlijiye.
5- Remote mause ko open karne ke baad aap ko ek ip address dikhe ga aap is ip address ko apne mobile me dalkar mobile ko laptop se connect kar sakte hai.
6- ab apne mobile me remote mause ka app open kariye aor us me Laptop wala ip address type karne ke baad done par click kariye .
7- ab aap ka mobile aapke Laptop/computer se connect ho chuka hai, ab aap ise mause aor keyboard ki tarah use kar sakte hai. 

Ye video bhi dekhe .......

To Dosto aaj ke is post artical me hum ne aap ko bataya ki kaise aap apne mobile ko computer/laptop se connect karke ek mause aor keyboard ki tarah use kar sakte hai, Dosto Muche ummed hai aapko mera yah artical pasand aya hoga. agar app isi tarah ke aor lekh padhna chahte hai to aap hamary website ka naam kahi par likh lijiye ya phir apne mobile me bookmark kar lijiye, aor agar aap computer me ye post padh rahe hai to ctrl+t dabakar kar apne browser me bookmark kar sakte hai. Aor agar aap ko lagta hai ki ye post apne  dosto ke sath bhi share karni chahiye to aap ise facebook, whatsapp ya phir aap jo social site use karte hai uspar share kar sakte hai. and Thanks for Reading...... 


No comments:

Post a Comment