What Is Hashtag ? Social Media par Hashtag ' # ' ka kiya Matlab hai
Hello Dosto, Agar Aap ek Social Media User Hain to app ne Hashtag ke bare me to suna hi Hoga aur ise use Karte hue Dekha bhi Hoga. Hashtag ka matlab hota hain kisi word ke age Hash '#' Sign laga deta jaise :- #example . Iska istemal jyadatar Social Media par aur khaskar Twitter par Dekhne ko milta hai . Hashtag ka use kai jagho par kiya jata aur kai tariko se kiya jata hai. Agar aap bhi Social Media use karte hai to aap k0 bhi iske bare me janna chahiye. To isiliye Aaj ki is post me hum isi ke bare me baat karege aur jane ge ki Hashtage '#' kiya hai aur isko kaise aur kaha use kiya jata hai To chaliye jante hai - What Is Hashtag? Social Media par Hashtag ' # ' ka kiya matlab hai
What Is Hashtag? हैशटैग क्या है "#"
Jaisa Ki Humne pahle bhi jana jab hum Social Media par kuch likhte samay kisi word ke pahle Hash " # " sign laha dete hai to wah word hashtag banjata hai. jaise #Eid, #goodmorning etc... isi tarah jyadatar social media par iska use hota hai.
Aaj kal iska use kafi common bangya hai twitter par to tranding topic bhi hastag ke hisab se hi ate hai. jis hashtag ko sabse jiyada use kiya gya ho use tranding topiks kaha jata hai.
Hashtag ka jyadatar use kisi Topic, name , Festival etc.. ko represent karne ke liye kiya jata hai. Iske jariye hum jyada se jyada logo tak apni baat pahucha sakte hai. kyo ki Social media par aajkal log hashtag "#" hi search karte hai.
Hashtag apne aap me ek link ka kaam bhi karta hai man lijiye mai twitter par kuch post karraha hu aur maine waha par hashtag use kiya #newtechadvice to ye hashtag apne aap ji ek link me change ho jayega, aur agar is link par aap click karte hai to twitter par jitni bhi post's me yah hashtag use kiya gya hoga wo sari ki sari post's aap ke samne ajayegi.
Hashtag kaise aur kab use kare
Hashtag ko log kai tariko se use karte hai lekin sabhi tarike sahi nahi hai. iske liye pahle aap niche diye hgaye example dekhiye ---
1 - #happy #Eid
2 - #happy Eid
3 - #happyEid
4 - #happy_eid
Jaise ki aap ne example dekha isme 3-4 example me to Hashtag ko sahi se use kiya gya hai lekin 1 aur 2 example me galat use kiya gya hai. isliye aap ko yaha par yah dhiyan rakhna hai ki aap ke hashtag ke antargat (under) aap ka pura topic araha hai, usme bich me space ya @ to nahi hai aur aap ko apne topic me only ek hashtag '#' sign ka use karna hai. Sabdo ko alag alag karne ke liye kemal (casing) yani har sabd ka pahla acchar word capital likhe ya sabdo ke bich me underscore sign yani " _ " ka use kare jaise aap ko 3 aur 4 ke example me btaya gya hai.
रुपये की कीमत कैसे तय होती है, समझें रुपया और डॉलर का पूरा गणित
Hashtag use karne ke kiya Fayde hai?
Hashtag use karne ke iase to kai Fayde hai aur kai nuksan bhi lekin agar kuch keypoint ki baat kare jisse iske bare aap ko idea mil sake to wah is parkar hai.....
1 - Agar aap logo ke samne koi baat rakhna chahte hai to aap uska hashtag bana kar share kar sakte hai.
2 - Social Mediapar Trends dhoodh sakte hai
3 - Kisi jaroory Topic ko logo se asany se share kar sakte hai
4 - Agar aap ek content creator hai jaise Blogger ya Youtuber hai to #tag ka use karke social media par apna content share karne par use jyada logo tak pahucha sakte hai. etc...
Lekin yaha par dhiyan rakhne wali baat yah hai ki kuch log sirf apne fayde ke liye ise unethical (अनैतिक) roop me bhi use karte hai. So aap ko aisi chijo se bachna hai aur jitna hosake age failne se rokna hai.
#tag ke example
Ethical Example :-
#SaveWater, #SaveGirlChild, #Happy_eid etc....
Unethical Example :-
#fanMasti, #FullmovieDownload, #Free_recharge
Top 50 Technology Facts In Hindi,हैरान कर देने वाले तथ्य
internet se paise kaise kamaye?
Dosto, Muche Ummed hai ki aap ko hamare dwara likhi gayi yah post What Is Hashtag? Social Media par Hashtag ' # ' ka kiya matlab hai? pasand ayi hogi. Hashtag # aur isko use karne ke bare me bahut kuch janne ko mila hoga. agar aap ko lagta hai ki yah post kafi Informative hai aur aap ke dosto ke kaam bhi asakti hai, to ise apne dosto ke sath share karna na bhule . Iske alawa agar aapke pass is post ke bare me koi sawal ya suchaw hai, to hame niche comment karke jaroor bataye. and Thanks for Reading...........
No comments:
Post a Comment