New Tech Advice - Technology ki Pury Jankary Hindi me

Technology ki Pury Jankary Hindi me

रुपये की कीमत कैसे तय होती है, समझें रुपया और डॉलर का पूरा गणित

रुपये की कीमत कैसे तय होती है, समझें रुपया और डॉलर का पूरा गणित

Ek bahut hi parchalit wyang hai ki "bhartiye rupya sirf ek hi samay upar jata hai aur wo hai toss ka samay "

Dosto , Aaj kal Rupye ke ghirte bhaw ke karan charo trafa kafi ho halla macha hua hai . Indian Currency yani rupya ka mulye dollar ke mukable kafhi kam ho chuka hai . Aaj ek 1 Dollar lagh bhag 72 Rupye ke barabar ho chuka hai. Lekin kiya aap jante hai ki wo kiya wajah hai jiski wajah se rupya ka mulye parbhawit hota hai, aur kaise aap deshhit me rupye ko majboot karne me apna yogdan de sakte hain . To chaliye aaj ke is post me hum aap ko ye sara gadhit (Mathmatic) batate hain, wo bhi bilkul asaan language me .रुपये की कीमत कैसे तय होती है, समझें रुपया और डॉलर का पूरा गणित


Dosto badhi sidhi se theory hai ki, India ke pass jitna kam dollar hoga, Dollar ka mulye utna badhega . Bharat ya koi bhi country apne jarurat ki vastuye ya to khud bante hain ya phir unhe videshon se ayat karte hai (dusre country se magate hai)
aur videshon se kuch bhi ayat karne ke liye aap ko unhe dollar me payment karna padhta hai . For example... yadi kisi country se aap oil (tail) ayat karna chahte hai to uska
payment aap rupye me nahi kar sakte . Uske liye aap ko international level par valid kisi currency ka paryog karna hoga . iska matlab yah hai ki bharat ko payment Dollar ya yuro me karna hoga . 


"Kass ye Desh Rupya Accept karlete aur hum jitna chahte rupya print karke inhe de dete Lekin Reality me aisa nahi hai (janne ke Liye hamari agli post ka wait kare )"

Ab sawal ye uthta hai ki International kharidary karne ke liye hum Dollar kaha se Laye ? Apne Country me videshi mudra (foreign currency) vibhinye madhyamo se aati hai .

1 - Niryat (Export) :- Desh me bani vastuwo ka niryat jab hum videshon me karte hain, to unse hame payment ke roop me videshi mudra (foreign currency) prapt (Ricived) hoti hai.

2 - Videshi Nivesh (Foreign investment) :- videshon ki Companiyan jab desh me apna Business lagati hai, ya yadi videshi niveshak (foreign investors) hamare desh me udyog (Industry) ya share market invest karte hai tab bhi hame videshi mudra prapt hoti hai.

3- Videshon me rahne wale bhartiye :- Jab videshon me rahne wale bhartiye videshon me kamaya hua dollar desh me bhejte hai tab hamara videshi ,udra bhandar badhta hai.

Ab hame  apne kharcho aur jarury vastuwo ke ayat ke liye Dollar ka bhandar save rakhna padhta hai. Jise "videshi mudra bhandhar" bhi kahte hai. Yadi kisi karanvash ye bhandhar khatm hojata hai, to hamare liye nahut badhi samasya khadhi ho jayegi kiyo ki oil ke bina hamary sari Economy thapp padh jayegi. 

Hamare Ayat ke Bill aur Niryat ke Bill me ek balance               
avashyak hai . Yadi ye Balance kharab hota hai tab hamare yaha videshi mudtra ki kami hojati hai jise " current account deficit "  Bhi kahte hai. Abhi Bharat Current Account Deficit se ki problem se gujar raha hai jiski wajah se hamary currency ka lagatar avmulyan ho raha hai. jisse Rupye ka value lagatar girta jaraha hai. 


Rupye ko majboot karne ke liye kya kiya ja sakta hai

  •  Niryat Badhaya jaye jisse ki videshi currency ki prapti ho, aur utpadan badhaye jaye jisse ki adhik se adhik niryat ho sake .
  • Oil ka vikalp :- Hum bhary matra me tail ka ayat karne ke liye majboor hai kiyo ki desh me tail ka utpadan demand ke anusar nahi hai. yadi hum tail par Dependent apni Economy ko badalne ki kosis kare to videshi mudra bhandar ka ek bahut badha hissa hum bacha sakte hain. aur iske liye hame tail ke vikalpo par vichar karna chahiye
  • Bhartiyon ka Sone se piyar :- hum bhartiyon ka Sone se lagaw kafhi purana hai, marriage ya festivals par sone ki mang me Indefinet viriddhi dekhi jati hai, Jisse Hamra ayat Bill badhta hai . 

internet se paise kaise kamaye?


Mote Taur mar Rupye ko majboty dene ke liye hame videshon se nivesh badhana hoga. videshi niveshko ke liye anukool mahaul ka nirmadh karna hoga. Jin chicho ko hum desh me bana sakte hai, unka ayat band karna hoga. har bhartiye ko imandary ke sath bharat ke vikas me yogdan dena
hoga, hamare desh me utpadan jitna badhe ga, niryat utna adhik hoga, jisse hamary Economy majboot hogi.



Dosto aaj ke is post me hamne aapko bataya ki rupye ki kimat kaise tai hoti hai. ummed karta hu ab aapko videshi mudra ka gadhit samach me agya hoga. Dosto agar aapke man me is post se Related Koi sawal ya koi suchaw hai to aap hame niche comment karke ouch ya bata sakte hai hame inka jwab dekar inhe jankar bahut khusi hogi. And Thanks For Reading This Blogg..... 

No comments:

Post a Comment