New Tech Advice - Technology ki Pury Jankary Hindi me

Technology ki Pury Jankary Hindi me

What is malware? Malicious Software In Hindi



Hello Friends, Malware aur computer virus ke bare me to aap ne bahut suna hoga lekin Kiya aap jante hai, ki malware Kiya hota hai, computer virus kiya hota hai aur inme kiya diffirent hai. malware kitne type ka hota hai ? agar nahi to koi baat Nahi aap Sahi jagah par aye hai bas aap is post ko age padhte rahiye isme aap jan jayge ki malware kiya hota hai, malicious software kiya hota hai ? aur sath me aap ye bhi jan payege ki malicious software  kitne type ka hota hai. iske baad hum is ke bare me yah bhi jane ge ki isse kaise bacha ja sakta hai, aur aap ko kon-2 se anti-malware software use karne chahiye . to ayiye jante hai inke bare me

What is malware? Malicious Software In Hindi


 Malware ek type ka Computer Software hi Hota Hai Jise Hum Malicious Software bhi kahte hai . yah ek trah ka program hota hai jo hamare Computer me ek softwear ki tarah rahta hai iska sirf ek hi maksad hota hai hamare computer ho kharab karna, malwear ko banaya hi esi maksad se jata hai ki ye hamre ya phir kisi specific user ke computer ko Damage kiya ja sake. Iske banane ke aur bhi kai maksad ho sakte hai  jaise aapke data ko churana aapka user name ,password churana, aap ke computer ko hack karna aur aap ke computer ke files ko delete karna etc.. Malware  software apne aap nahi bante ise kisi developers, hackers ke Through hi banaye jate hai taki hamare computer ko damage kiya ja sake.


Malicious Software app ke computer me kai tariko se a sakte hai, Ya to aap khud hi inhe galti se download Karle, Ya kisi apam E-mail ke jariye, ya kisi Website ke jariye bhi ye Aap ke Computer me a sakte hai, q ki aisi kai websites hai jinpar Malicious Software ki link available hai, aur ek hi din me logo ke pass dher sare spam E-mail aate hai inme se kitne  hi log  ise Download bhi kar lete aur inka shikar ho jate hai. 

Computer Malware se computer ko kiya-kiya nuksan hote hai :-
  • Ye Computer ki memory ko damage karta hai
  • Computer ke boot me lagne wale time ko aur badha deta hai
  • Computer ki important files Delete hone lagti hai
  • Computer ki (OS) opreting system ko damage kar deta hai
  • Computer bahut jyada slow hone lagta hai
Types of Malicious software? Malware के प्रकार 
   
Malicious Software kai type ke hote hai jo alag-2 tarah se work karte hai ya u kahe ki hamare Computer aur data ko damage karte hai, Inke kaam karne ke tarike alag-alag hote hai. Malware ke kuch type niche diye gaye hai

1. Virus


Virus yah sabse popular aur Knowledgeable type ka malware hai.  Ye itna popular hai ki baki ke malware ko bhi virus hi bulate hai. lekin aisa kuch nahi hai, Virus ek alag type ka hi malware hai lekin ek local computer ko sabse jyada khatra virus se hi hota hai. isliye hum baki ke malware ko bhi virus bulate hai. Virus hamare pass ek normal software ke roop me hi ata hai lekin jab hum ise install karte hai tab yah apna asli rung dikhata hai. yah  ya to hamare computer ke system ki important file for example oprating system 
ko infected kardeta hai ya hamare oprating system ko crash kar deta hai jisse hamara computer kharab hojata hai, aur hamara data corrupt hojata hai.

2. Worms  

Worms kafi had tak computer virus ki tarah hi hote hai lekin iski important baat yah hai ki yah apne aap hi apni kai copy bana sakta hai yani yah failta jata hai aur aap ke network me judhe sare ya kisi bhi network ko infected kar sakta hai. ise failne ke liye kisi Instructions ki jarurat nahi padhti, ye aap ke computer me E-mail, Internet, Surfing, Downloding ke time aa sakta hai. Yah virus ki tarh hi aapke data ko loss karta hai ya use crash kar deta hai.

3. Trojan Horse


Trojan Horse IS word Ki shuruat abhi se bahut time pahle hui thi, jab greek ke logo ne turkey ke city troy par Atack karne ke liye ek badha lakdhi ka horse banaya tha, jisme kai sainik chipkar turkey me gaye the aur raat hote hi unhone turkey par hamla kardiya tha isi badhe horse ho Trojan Horse ka naam diyta gya tha. Isi tarike se Computer ke ander bhi  tojan horse hote hai jo Computer me Install Hone ke baad 
Hamre Computer par control pa lete hai. Normaly Trojan Horse Computer par Control pane ke baad, virus aur dusre malware se atack karwate hai jisse hamara Data Corrupt hojata hai. 

3. Ransomware

Ransomware ek baar hamare computer me Install hone ke baad hamare sare Data ko encrypted kar doya jata hai, yani use lock kardiya jata hai ya u kahe ki kidnap kar liya jata hai aur use unlock ya decrypt karne ke liye humse paise mage jate hai bilkul usi tarah jaise kisi ki kidnap karne badd use chudhane ke badle me firouti ya Ransom mangi jati hai 


4. Spyware  

Spyware ka kaam hota hai aap ke dwara apne computer me ki gayi sabhi activity aur Data par najar rakhna aur unhe kisi aur ke pass bhejna hota hai, bilkul ek jasoos ki tarah yah kisi bhi sofware ke sath bind hokar aap ke computer me install ho sakte q ki yah size me bahut chote hote hai, Spyware ki kisi 
special person, place ya kisi special computer ko target karke banaya jata hai. 

5. Adware

Adware ka Special purpose aapke device ya Data ho hany damage karna nahi hota hai balki iske Install hone ke baad bina kisi app ko open kiye hi home screen par hi advertise dikhne lagte hai. ye aksar smartphone me dekhne ko milta hai. ye tarah-tarah ki tedhi medhi websites se kuch bhi download hone se hota hai. 

Malware se kaise bacha ja sakta hai 

Dosto, aap ko malware se bachne ke liye bas choti-choti bato ka dhiyan rakhna hota hai, lekin kabhi-kabhi ye bate pata na hone ki wajah se hame  bahut sari problems dekhne ko milti hai. To ayiye jante hai in choti choti baton ke bare me --

  • Sabse pahli baat aap hamesha kuch bhi kisi bhi website se  download karne se pahle ye check karle ki website original hai ya koi fake website hai, agar website itni popular nahi hai to aap website par comment read karke pata laga sakte hai ki wah kaisi website hai. Agar aapko usme comment section nahi milta hai to waha se kuch bhi download karne se bache. 
  • kisi bhi unknown email attachment ko theek se dekh kar hi khole aur use download karne ke baad kisi anti malware software se scane karle.


  • Agar aap ne apne computer par kuch important Data rakha hua hai to untrasted aur unknown person dwara bheje gaye  email attachment ko bilkul bhi na open kare. 
  • kisi bhi Software ko download karte time software ki official website ya popular website ka hi use kare.
  • Aap ko Paireted content ko download ya use karne se bachna chahiye
  • Aap kisi bhi unknown source jaise pendrive, usb, cd/dvd inhe apne compuiter me use karne se pahle ek baar anti virus software se scane jaroor kare.

Ye Bhi Padhe -





Dosto ummed karta hu ki aap ko ye choyi si jankari what is malware? maliciouse software in hindi pasand ayi hogi aur malware jaise- virus, trojan horse, etc ke bare me kafi kuch janne ko mila hoga, agar aap ko yah post aur di gayi jankari pasand ayi hai to aap ise apne dosto ke sath facebook, whats app, ya jo bhi social media site aap use karte hai unpar jaroor share kare. aur agar aap isi tarah ki  important information aur bhi chahte hai to aap hame social media par follow kar skate hai jisse hamre dwara upload ki gai letest post ki aap padh sake .

Aur iske alawa comment karke apne Questions aur
Suggestion jaroor bataye, unhe jankar aur unka answer dekar hame bahut khusi hogi and Thanks for Reading This blogg...

No comments:

Post a Comment