New Tech Advice - Technology ki Pury Jankary Hindi me

Technology ki Pury Jankary Hindi me

How To Link Aadhar Card with Pan Card In Just 2 Minute In Hindi || new tech advice ||

How To Link Aadhar Card With Pan Card In Just 2 Minute In Hindi

Hi Friends, Jaisa Ki Aap sabhi jante Hai Ki India Government ne Aadhar card ko Pan card Se Link Karna compalsary kardiya Hai . 
Dosto agar aap janna chahte hai ki online Aadhar card ko pan card se kaise link karte hai to is post ko pura padhiye.is post me maine aap logo ko bataya hai ki kaise aap aadhar card ko pan card se link kar sakte hai. dosto ye bahut hi aashan hai aap niche diye gaye step ko follow karke aaram se aadhar ko pan ke sath link kar sakte hai......



Dosto aap apane aadhaar card number ko PAN se link tabhi kar sakte hai jab aapke aadhaar card or PAN card me aapki sabhi detaile jaise ki Name, Date of birth, Gender sab kuchh same honi chahiye, tabhi aap apne aadhaar ko PAN se link kar payenge.
Agar aapki details aadhaar card or PAN card me alag alag hai to aap sabse pahle apne card ki details ko correct kar lijiye. Agar aap online apne card ki details ko correct karna chahte hai to aap aadhaar card ke liye UIDAI portal or PAN card ke liye NSDL website par jakar apni details correct  kar sakte hai.

Aadhaar Card Number Ko PAN Card Se Kaise Link Karte Hai ?

Step 1 
Sabse pahle Aap apne browser me  Income tex Deparment ki efiling Website www.incometaxindiaefiling.gov.in ko 
open karle .

Step  2 
Ab aap ke samne incometaxindiaefiling.gov.in ka Home Page open ho gya hai isme  left side me aap dekh sakte hai Link Aadhar likha hua hai aap iske uper click karde.
Step 3 :-
Ab yaha par aap ko apni Details dalni hai .
1. Pan :- Isme Aap ko apne pan card ka no fill karna hai

2. Aadhar card :- Yaha par aap ko apne aadhar card ka 
    no fill karna hain

3. Name as par aadhar :- yaha par jo aapke aadhar card par 
    naam hai same wahi naam fill  karna hai 

4. capcha code ko fill kar dijiye 

5.  Ye sabhi detail dalne ke baad Link Aadhaar ke button 
      par click kar dijiye.

Jaise hi aap Link Aadhaar ke button par click karenge to agle page me aapko ek massage dikhega jisame likha hoga ki aapka Aadhar PAN se successfully link ho gya hai.
I hope aapko Aadhaar card number ko PAN se link karne ki ye jankari achhi lagi hogi or ab aapne sikh liya hai ki aap ghar bedhe kaise apne Aadhaar card number ko PAN se link kar sakte hai.
Aadhar card ko pan card se link karne ki jyada jankari ke aap niche diya  gya video dekh sakte hai .

Agar aap ko abhi bhi Aadhar no ko pan se link karne me koi problem arahi hai to aap niche comment box me comment karke puch sakte hai .

No comments:

Post a Comment