Reservation Train Ticket kaise cancel kare
Confirmed Reservation Train Ticket Online Cancel Karne ki Process
Step 1 -
Ticket Cancel karne ke liye Cancellation Charge bhi lagta hai. Ticket Cancel karne par kitna cancellation charge lagega isaki jankari pane ke liye aap niche di gayyi link par click kar sakte hai. Ticket Cancellation fee detail
Hello, Dosto Aaj ke is post mai app logo ko Reservation train ticket cancel karne ki process batane ja raha hu.aur Ticket cancellation se related aur bhi kuchh jaruri bato par charcha karenge. Previous post me maine bat kiya tha ki kaise aap Reservation Train Ticket ko Book kar sakte ho. so friends kabhi kabhi hota hai ki ham Train Ticket book kar dete hai but kisi karan ham journey nahi karna chahte hai to is condition me hame ticket cancel karna hota hai .to Friends is post me mai aap ko yahi batauga ki kaise aap ghar baithe hi online IRCTC ki Website par jakar train ka ticket cancel kar sakte hai aur apna refund pa sakte hai. dosto jyada janne ke liye niche diye gaye step ko follow kare.
Confirmed Reservation Train Ticket Online Cancel Karne ki Process
Step 1 -
Dosto Online Train Ticket Cancel Karne ke iye Aap ko
Sabse Pahle IRCTC Ki Official Website www.irctc.co.in
par jakar apna user-id password dalkar login karna hai.
Step 2 -
uske baad aapke samne IRCTC ka home page open
ho jayega. Home page par Cancel Ticket ka button
show karega aap ko uske uper click karna hai
Step 3 -
Uske badd aapne jitne bhi Ticket Book kiye honge unki
un sabhi ki list aap ke samne ajayegi in me se aap ko jo
bhi ticket cancel karna hai usko select karke
kar ke cancel button par click karke cancel kar sakte ho.
* Ticket cancel hone ke bad bacha huwa Amount apke
kar ke cancel button par click karke cancel kar sakte ho.
* Ticket cancel hone ke bad bacha huwa Amount apke
bank account me 3-4 days me refund ho jayega. agar
apne ticket ka payment paytm ya kisi aur wallet ke
through kiya hoga to balance usi wallet me refund ho jayega.
Ticket Cancel karne ke liye Cancellation Charge bhi lagta hai. Ticket Cancel karne par kitna cancellation charge lagega isaki jankari pane ke liye aap niche di gayyi link par click kar sakte hai. Ticket Cancellation fee detail
Maine sleeper ka ticket cancel kiya tha to 120 Rs Cancellation charge laga tha.
Waiting List Reservation Train Ticket Cancel Karne ka Process -
To friends upar ham ne bataya ki agar apka Reservation Train Ticket confirmed hai to aap usko kaise cancel kar sakte ho. ab ham bat karenge agar apne online ticket book kiya hai lekin wo waiting list me hai to aap usko kaise cancel kar sakte ho.
is case me apko wait karna hoga. chart preparred hone tak ( Train Chalne ke 1 hour pahle chart preparred ho jata hai ) agar chart preparred hone ke bad bhi apke ticket ka status waiting show kar raha hai to aapko tension lene ki koi jarurat nahi hai. apka ticket automatic cancel ho jayega. apko kuchh bhi karna nahi padega aur apne jiske jariye ticket ka payment kiya tha usi me apko refund mil jayega. is case me cancellation charge bahut kam lagta hai.
Reservation train ticket cancelation se related jyada jankari ke liye aap niche diya gya video dekh sakte hai
To Friends i hope apko samjh me aa gaya hoga ki train
ticket kaise cancel karte hai . agar apka isase related koi sawal hai to aap niche comment box me comment karke puchh sakte ho.... Thanks for visiting my blogg.
ticket kaise cancel karte hai . agar apka isase related koi sawal hai to aap niche comment box me comment karke puchh sakte ho.... Thanks for visiting my blogg.
nice blog
ReplyDelete